kya ab kuch yaad nahin tumko...




ab yaad nahin tumko 
kya ab kuch yaad nahin tumko

tera wo class m dekhna...dekh ke fir nazren ferna 
notes ke bahane ....no. mangna .... fir lagane ko library sth bahane marna

ab yaad nahin tumko
shayad yaad nahin tumko

us sham ped ke neeche...ik naye safar ka agaz
hamarai dosti ki shuruaat...wo hathon me hath... jhoot na bolne ke vade...sth dene ke irade

ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko

wo tera modern hun ye dikhana....shorts m ghumti hun jatana...fir masjid ke bahane kabab chatkana

ab yaad nahin tumko
shayad ab yaad nahin tumko

tera wo haq jatana....rokar haskar jhunjhlakar apni baat manwana... ghanton chai ki chuskiyon m lakhon kisse sunana....khoob sare sapne dekhna...aur fir sach karne m jut jana

ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko

tera wo mere pass ana....jese sarp ka chandan se lipat jana... sari dooriyan mitana...sharm lihaz ko rakh pare ek ho jana 

ab yaad nahin tumko
shayad ab yaad nahin tumko

fir hamare beech ik khubsurat ehsas ka ana ...ek parivar sa ban jana...sth m ruthna sth m manana...jara sa  hone pe kuch kisiko...jaan si nikl jana 

ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko

tere ashiqon ke wo kisse sunna... tera man hi man galiyan dete jana...wo tera rona...aur fir sab kar loongi...ye dohrana

ab yaad nahin tumko
shayad ab kuch yaad nahin tumko

tera fir thoda door chle jana....karna h ab kuch roz ye sunana...thodi doori banana...par sala dil pr kiska zor bhala... isliye fr bhi milne chale ana 

ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko

jane ye sala kya se kya ho gya ....duniya wahi rhai ...baki sab kho gya....na socha tha hoga esa bhi....aur chanda mera mujhse door ho gya

mana thi galti meri...par halat bhi to thi nazuk meri...nahi kar pa raha tha faisla tab...na dard dena tha tujhe na aur kisiko...isi kashmakash m deta ja ra tha main khud ko...

tujhe laga door ho raha tha ....pr na ho dard tujhe dekh ke mujhe ...isliye m thoda kho raha tha

jane tu kyun ruswa hai mujhse...bhot kuch kahna hai tujhse...kya itna door chale jaegi ab mujhse...kese nazren milaegi khudse

bss tu ik baat bata de sach se..
ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko
ke shayad ab kuch yaad nahin tumko....
       

                : Manu Sharma

Comments

  1. काश अब ये वक्त हमारा होता , वो मिलने के लाखो बहाने , और जबा पर नाम सिर्फ तुम्हारा होता।
    जिंदगी के उस मोड़ में ,करियर के इस दौड़ ‌‌‌मे ।
    ना जाने तुम्हें कहा छोड़ आई ,शायद कुछ याद ही नहीं मुझको।
    एक अरसे के बाद ,आज प्यारा ख्वाब आया है।
    पक्का तो नहीं पर कुछ धुंधला सा याद आया है।


    ReplyDelete
  2. Yaaden.. .yaaden Aksar sawal ban jaya krti h. ... . ..jiska koi jawab nhi milta bas kambakt vakt jaya krti h. .. . .. Pyaas badao kuch pane ki suna h pyase samandar ki pyas bujhane nadiya khud chalkar aaya krti h... . .manjil vahi hasiin hoti h jinki raho me kathinaiya aaya krti h.. .. (... Lage raho mitra. .bahut badiya. .. 👌👌unhe yad bhi aayegi oo sath bhi ayegi. 😜😃

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

kab milogi mujhse...

वक़्त-वक़्त की बात है...

आज फिर रात भर सोया नहीं मैं