kya ab kuch yaad nahin tumko...
ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko
tera wo class m dekhna...dekh ke fir nazren ferna
notes ke bahane ....no. mangna .... fir lagane ko library sth bahane marna
ab yaad nahin tumko
shayad yaad nahin tumko
us sham ped ke neeche...ik naye safar ka agaz
hamarai dosti ki shuruaat...wo hathon me hath... jhoot na bolne ke vade...sth dene ke irade
ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko
wo tera modern hun ye dikhana....shorts m ghumti hun jatana...fir masjid ke bahane kabab chatkana
ab yaad nahin tumko
shayad ab yaad nahin tumko
tera wo haq jatana....rokar haskar jhunjhlakar apni baat manwana... ghanton chai ki chuskiyon m lakhon kisse sunana....khoob sare sapne dekhna...aur fir sach karne m jut jana
ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko
tera wo mere pass ana....jese sarp ka chandan se lipat jana... sari dooriyan mitana...sharm lihaz ko rakh pare ek ho jana
ab yaad nahin tumko
shayad ab yaad nahin tumko
fir hamare beech ik khubsurat ehsas ka ana ...ek parivar sa ban jana...sth m ruthna sth m manana...jara sa hone pe kuch kisiko...jaan si nikl jana
ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko
tere ashiqon ke wo kisse sunna... tera man hi man galiyan dete jana...wo tera rona...aur fir sab kar loongi...ye dohrana
ab yaad nahin tumko
shayad ab kuch yaad nahin tumko
tera fir thoda door chle jana....karna h ab kuch roz ye sunana...thodi doori banana...par sala dil pr kiska zor bhala... isliye fr bhi milne chale ana
ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko
jane ye sala kya se kya ho gya ....duniya wahi rhai ...baki sab kho gya....na socha tha hoga esa bhi....aur chanda mera mujhse door ho gya
mana thi galti meri...par halat bhi to thi nazuk meri...nahi kar pa raha tha faisla tab...na dard dena tha tujhe na aur kisiko...isi kashmakash m deta ja ra tha main khud ko...
tujhe laga door ho raha tha ....pr na ho dard tujhe dekh ke mujhe ...isliye m thoda kho raha tha
jane tu kyun ruswa hai mujhse...bhot kuch kahna hai tujhse...kya itna door chale jaegi ab mujhse...kese nazren milaegi khudse
bss tu ik baat bata de sach se..
ab yaad nahin tumko
kya ab kuch yaad nahin tumko
ke shayad ab kuch yaad nahin tumko....
: Manu Sharma

काश अब ये वक्त हमारा होता , वो मिलने के लाखो बहाने , और जबा पर नाम सिर्फ तुम्हारा होता।
ReplyDeleteजिंदगी के उस मोड़ में ,करियर के इस दौड़ मे ।
ना जाने तुम्हें कहा छोड़ आई ,शायद कुछ याद ही नहीं मुझको।
एक अरसे के बाद ,आज प्यारा ख्वाब आया है।
पक्का तो नहीं पर कुछ धुंधला सा याद आया है।
Waahhh saab waahh... 👌👌
Deletekya baat hai manu
ReplyDeleteYaaden.. .yaaden Aksar sawal ban jaya krti h. ... . ..jiska koi jawab nhi milta bas kambakt vakt jaya krti h. .. . .. Pyaas badao kuch pane ki suna h pyase samandar ki pyas bujhane nadiya khud chalkar aaya krti h... . .manjil vahi hasiin hoti h jinki raho me kathinaiya aaya krti h.. .. (... Lage raho mitra. .bahut badiya. .. 👌👌unhe yad bhi aayegi oo sath bhi ayegi. 😜😃
ReplyDelete🙏🙏🙏
Delete